|
SHAB
Na shab na din,
Na tere aangan ka gulistan maanga.
Mere mehboob nai tujh se,
Tere pyar ka imtihaan maanga.
Tere chehre ki saadgi ,
Thi kasam meri.
Isi liye zaalim,
Tujhse tere sitham ka jawab nahin maanga.
Dil to aik taaza gulaab hai yaara,
Us laal rang ka main ne tujh se ansu nahin manga.
Na shor na gul,
Na teri dharkan ka saaz maanga.
Na shabnam na phool,
Na teri sanson ka ehsaas maanga.
Dharkan to dil ki zindagi hai yara,
Isi liye tere dil se apni dharkan ko juda nahin chaaha. |