|
SAWAL
Ik din ik sawal puchha mujhse yeh kisi ne.
Pyaar kiya hai kya tujh ko kisi ne.
Gham khaye hove se yeh puchha tha kisi ne.
Dard diya bhi hai kya tujhko kisi ne.
Baari meri aii toh yeh bataya main ne.
Pyaar mein khayien hain main ne zakham jitney.
Toot partha agar mujhe dekha hotha kisi ne.
Na nikaal paya main us ko apni zindagi se.
Kehta hoon ke pyaar kartha tha main kisi se.
Na bhula paya main us ko apne dil se.
Kehta hoon ke jaan lutatha tha main kisi pe.
Badla diya tha aisa us ne.
Keh dushmanoon ko bhi reham aya tha mujh pe.
Phir unhoon ne yeh pucha mujh se.
Ke sehta hai kyun tu gham itne.
Kehna para mujhe yeh un se.
Ke karta tha pyaar
main bhi kisi se. |