|
HAR PAL YAHAN
Har pal yahan main tanha raha.
Har pal main gum sum chup raha.
Har pal is aalam mein jeeta raha.
Ke kyun main tanha rehta raha.
Har pal yahan main tanha raha.
Andherey mein roshni ko khojta raha.
Dar lagne laga ke toot na jaon ab.
To khud ko hi khud se chhupane laga.
Har pal yahan main tanha raha.
Bin us ke jina sikhta raha.
Kuch is tarhan lagao ho gaya khamoshi se.
Ke shor se hai ab dar lagne laga.
Har pal yahan main tanha raha.
Mom ko jalate main jalta raha.
Ab itna pyar ho gaya hai tanhai se.
Ke roshni se hai ab dar lagne laga.
Chahh mujhe bhi hai us ujale ki.
Jise yadoon mein liye main jeeta raha.
Par haal mera bhi hai ab us parwaney sa.
Ke mout se hoon pyar karne laga.
Na jane kyun har pal main yeh sochta raha.
Ke jane kyun main akela jeeta raha.
Ab to mout bhi ayi hai pyar se gale lagane.
Na jane kyun main har pal tanha raha. |